Thursday, September 26, 2019

The trailer review of Saand Ki Aankh | Saand ki aankh full movie download from tamilrockers

The trailer review of Saand Ki Aankh : Saand ki aankh will be another good movie which will be releasing in Diwali ! It will change the fun of Diwali ! This movie is based upon a true story about two old woman shooter in India. This movie will talk about what is feminism also ! No not the fake one ! The real feminism ! This movie Saand Ki Aankh was directed by Tushar Hiranandani. Let's jump to the main topic The trailer review of Saand Ki Aankh.

The trailer review of Saand Ki Aankh

The trailer review of Saand Ki Aankh
The trailer review of Saand Ki Aankh

Saand Ki Aankh

  • Directed by: Tushar Hiranandani
  • Produced by: Anurag Kashyap, Reliance Entertainment, Nidhi Parmar
  • Written by: Jagdeep Sidhu (dialogue)
  • Screenplay by: Balwinder Singh Janjua
  • Starring : Bhumi Pednekar, Taapsee Pannu, Prakash Jha, Vineet Kumar Singh
  • Music by: Songs: Vishal Mishra, Score: Advait Nemlekar
  • Cinematography: Sudhakar Reddy Yakkanti
  • Edited by: Devendra Murdeshwar
  • Production company: Reliance Entertainment Chalk and Cheese Films
  • Distributed by: Reliance Entertainment
  • Release date: 25 October 2019
  • Country: India
  • Language: Hindi

Saand Ki Aankh (Cast)

  • Bhumi Pednekar as Chandro Tomar
  • Taapsee Pannu as Prakashi Tomar
  • Prakash Jha as Rattan Singh
  • Vineet Kumar Singh as Dr. Yashpal
  • Nikhat Khan as Maharani
  • Shaad Randhawa

The trailer review of Saand Ki Aankh

Feminism ak aysa sabdh hai jiske hamare desh mai bohot sare matlubh nikale jate hai ! Kuch log der raat tak party karneme or larko ki tarha sarabh pineko feminism mante hai to kuch log feminism ko ak ayse zaher ki tarha dekhte hai jisne hamare desh ke larkio ki zindegi kharabh kar rakhi hai. Lekin asli feminism ka muthlubh jisdin aap samagh jayenge usdin yakin mania aap bhi apne surname ki jagah ak feminist likhna zyada pasand karoge ! Ye samghane ak nayi film arahi hai joo diwali pe dewali se zyada dhamaka karne wali hai.



Hello and welcome dosto to the trailer review of Saand ki aankh

Film ki kahani reallife story pe based hai jisme india ki sabhse oldest shooter ki story pe dikhaya jayga. Chandro Tomar or Prakashi Tomar utter pradesh ke chote se gao baghpat se nikal ke kayse hamare desh ke famous shooter bangyi ye subh kuch apko film mai dekhne ko milega. Chandro Tomar ko pyar se log shooter dadi bulate hai or Prakashit domer ko revolver dadi. Inn dono ke karname sunke aapke payro ke nichese zamin khisak jayegi ! 60 saal ki umar mai koi shooting mai bull sai yani saand ki aankh pe nishana lagade toh isme gamin karna muskil hi nahi naamumkin hai ! Ak mazedar kissa batau toh, ak shooting competition mai Prakashit domer ne participate kia tha jisme unka mukabala UP police ke DIG ke sath hua tha, aap sunke chonk jayenge ki revolver dadi ne DIG sahabh ko bohot hi buri tarike se hara dia tha jiske baad unhone dadi ke sath photo khichane se mana kar dia tha!

Buss kuch ayse hii dilchasp kisse apke samne screen pe leke ane wali hai Taapsee Pannu or Bhumi Pednekar ki jori jo film mai lead roles play karne wali hai ! Inke alawa ak mashoor film maker Prakash Jha film me ak negetive role play kanrne wale hai ! Or inn subh ka sath denge Binit Kumar joo film me ak importent role play karne wale hai ! Baat chahe barabari ki hoo ya azadi ki agar apne maan banalia toh apko koi nahi rok sakhta fir chahe gharwale bich mai ajaye ya fir puri socity apke khilaf hi kuna khari hoo jaye ! Leken aap agar sahi hai to apko jhukne ki koi zarurat nahi hai ! Kistarike se ak chotese gao se anewali doo orten apne haq ke lia kistar haa se larte hai or purane khyalat wale unn mardo ke khilaf jangh cher deti hai or socity ke banaye gye rule or niyam kaydon ko badal kar rakhdeti hai ye subh kuch apko film me dekhne ko milega. Jisdin hamare desh ki larkiya Chandro Tomar or Prakashit domer ki tarha apne haq ke lia larna sikh jayengi ussdin hamara India ak woman empower ka ak example banjayega tubh feminism subdh ka istemal logoko darane ke lia nahi balki desh ko agge barhane ke lia kia jayga.



Baat karu trailer ki toh, Taapsee or Bhumi ka joo powerful look dekhne ko milraha hai woo apko threater tak khich ke lejane ke lia kaafi hai ! Uske uppar se trailer mai jistarha ke music track dale gaye hai woo apke ander ak alag tarha ke josh payda kar dete hai ! Trailer mai dalagaye desi or damdaar dialogue koo sunke lagta hai ki isbaar threater mai apko kaafi sare taalio ki awaz sunneko milne wali hai joo dewali ke patakho se bhi zyada shor karengi ! Chokia gaa bilkul maat agar diwali par ye film zyada pasand ki jae kuki aj kaal bollywood me filme content se chalti hai naaki bare bare naamo se ! Dekhna kafi intresting hoga ki ye film kitna successful hoti hai wayse bhi wakht badal chuka hai ! Agar aap time ke sath aage nahi barenge to muke bal zamin mai girne ka khatra zyada barh jata hai !

Wayse bhi iss film ko direct kar rahe hai Anuragh Kashyap jinki filma bollywood ki baaki filmo se kuch hatke hota hai, isbar woo women empower ki ak aysi dawa khilane wale hai jiske baad orto ko lekar ghatiya soch ki joo apki bimari hai woo bilkul dur hoo jayegi. Toh intezar kariye diwali ka or shooter dadio ko welcome karne ki puri tayyar kar lijia !

Final words

Ummid karta huu ki ye movie hamre cinema ke sath sath hamare desh mai bhi kafi bara change lekar aye or feminism ka clear meaning hamare saamne rakhhe. Baki ye post achha laga hoo ya koi sikayat hoo ya fir koi request karni hoo too comment box apke lia hii bhi ! Aap apna jalwa dikhao or mai nayi movie lekar ata huu !

Tubh tuk ke lia bye ! Take care ! 😇😇😇
NEXT ARTICLE Next Post
PREVIOUS ARTICLE Previous Post
NEXT ARTICLE Next Post
PREVIOUS ARTICLE Previous Post
 

Delivered by FeedBurner